Affiliate Marketing se Paise Kaise Kamaye?

Agar ap blogging ke bare main thoda bahut jante hai to apne affiliate marketing ke bare mai bhi suna hoga. Eski madad se kayi log bahut hi achha paisa kama rahe hain. Ek blogger hi samajh sakta hain hai ki affiliate marketing mai kitna potential hain. Agar ap ek blogger nahi hai ya apne abhi blogging start hi ki hain ya start karne ki soch rahe hai to mai ye post apke liye best post hogi.

Ese padh kar ap jan payenge ki affiliate marketing se paise kaise kamate hain. Es post mai apko affiliate marketing se related sabhi jankari milegi aur eske sath sath mai apko ek chota sa proof bhi dikhaunga ki jisse apko ye yakin ho jaye ki affiliate marketing se paise kamana sach mai possbile hain.

affiliate income proof

Ye meri affiliate income ka proof hain. Affiliate ke power bahut jyada hain. Ap product ya services ko promote karke isse acha paisa kama sakte hain. Chaliye Affiliate marketing ke concept ko detail mai samajhte hai.

Affiliate Marketing Kya Hai?

Kuch companies apni product/services par ek fixed commission offer karti hain. Ye commission un logo ko milta hai jo companies ke product/services sell karte hain. Kisi bhi company ke liye affiliate marketing karne ke liye sabse pahle apko unka affiliate program join karna hota hain.

Aj kal lagbhag sabhi companies apni websites par affiliate program ka link deti hain jisse log aasani se unke product promote kar sake. Kisi bhi company ka affiliate program join karne ke liye uski website par jaye aur affiliate program ka link search kare. Program ko signup karne ke bad apko ek link milega jise use karke ap jo bhi sale karenge us par har sale ke hisab ke apko company ki taraf se nishchit kiya gaya commission prapt hoga.

Affiliate maketing ko hum yuh bhi samajh sakte hai ki yh apke aur company ke bich mai ek contract hota hai jiske according apko company ke product ka link promote karte hain aur har sale par apko commission diya jata hain.

Kitna Paisa Kama Sakte Hai?

Affiliate marketing se paisa kamane ki koi limit nahi hain. Bs apko eske liye mehnat karni padti hain. Agar koi ap yah kah kar video course, ebook ya kuch aur becha raha hai ki ye apko kuch hi dino mai amir bana degi to ap us par bilkul vishwas na kare.

Online earning ke liye aise lagat raste apnaye jate hai aur newbie bloggers eske influence mai bhi aa jate h. Yadi ap affiliate marketing se paise kamana chahte hai to apko full dedication ke sath work karna hoga. Eski barikiya samajh kar ap esse achi earning kar sakte hain.

Affiliate join kaise kare?

Affiliate marketing start karne ke liye sabse pahle apko ek acha sa product search karna hota hain. For example ap ek web developer hain aur hosting ke bare mai achi knowledge rakhte hain. Es situation mai ap hosting affiliate join karke reliable web hostings ko promote kar sakte hain.

Note: Ye sirf ek example hain ap apne pasandida product ka chunav karke uska affiliate program join kar sakte hain.

Man lijiye ap bluehoast india ko promote karna chahte hain. Apne es hosting ko thik se analyze kiya hain aur esey use karne par apko ache resulst bhi mile hai.

Eska affiliate program apke liye perfect rahega. Bluehost India ke affiliate program ko join karne ke liye sabse pahle ap eski site par jaye.

Link: https://www.bluehost.in/affiliate

Yha par ja kar signup kare aur apni sari details bhar de. Apna account jarur verify kar le. (Es tarah ap aur products ki site par ja kar unke affiliate program join kar sakte hain.) Eske bad apko apne user name aur password use karke affiliate dashboard par login karna hoga.

Yha apko company ke product ko promote karne ke liye affiliate link dikhayi denge. Har product ka apna unque affiliate link hota hai.

Es dashboard par apne kitni sales ki aur uska kitna paisa bana sab jankari mil jati hain.

Bluehost india par apko apna affiliate link kuch es tarike se show hoga.

http://bluehost.in/?utm_source=affiliate&a_aid=afd5f6a4

Es link ko use karke ap bluehost hosting ko promote kar payenge. (kisi anay product ko product karne ke liye bhi uske affiliate link ka hona jarur hain. Nahi to apne kitni sales ki ye track nhi kiya ja sakta.)

Next point mai ap ye sikhenge ki es affiliate link ki help se product ko promote kaise karte hain.

Affiliate Promotion Kaise Kare?

Affiliate sales se achi income hoti hain lekin kisi bhi product ko promote karne ke liye apko ek khas audience to target karna hota hai jo ki us product ko buy karne main interested ho. Eske liye apke pas kuch methods. Unke bare mai janane se pahle ap affiliate program ke terms & conditions thik se padh le. Jisse apko bad mai koi pareshani nhi hogi.

 Affiliate Promotion ke effective tarike

  1. Apne blog par product ka review likhe. Review product ko use karne ke bad hi likhe aur dhyan rakhe ki product apke blog ke subject se mel khata ho. Ap eske liye ek new blog bhi start kar sakte hain.
  2. Ap product ko social media par bhi promote kar sakte hain. Par esse pahle affiliate ki terms & conditions padh leni chahiye. Kayi companies social media ke through affiliate promotion allow nahi karti hain.
  3. Related forums par ja kar product promotion kare. Man lijiye kisi hosting forum par koi user ek achi hosting ke bare mai suggestion mang raha ho to ap apne affiliate link ke sath usey hosting ki sari achi bate bata sakte hain. Esse sale hone ke chances kafi jyada rahte hain.
  4. Question and answer site par active rahe. Jis product ko ap use kar rahe hai usse related questions search kare aur unka answer de. Ap en answers ke sath apna affiliate link bhi de sakte hain. Esse bhi apko sales milti hain.
  5. Apne clients/friends ko jarurat padne par directly product suggest kar sakte hain. Unke sath apna affiliate link share karna na bhule.
  6. Product ke bare mai ek video banaye aur uske features and benefits ke bare mai logo ko bataye. Log video ke madhyam se kisi bhi chiz ke bare mai janana pasand karte hai kyunki ye ek aasan tarika hain.
  7. Apne blog ki posts mai jarurat ke hisab se apna affiliate link use kare.
  8. Kayi companiya paid marketing jaise ki Facebook ads aur Google Adwords ki help se product promotion allow karti hain. Ap inka use karke bhi sales le sakte hain.

Affiliate Marketing Se Judi Kuch Important Bate

Ye to the promotion ke kuch effective tarike. Ab hum affiliate marketing related kuch imporntat bato ko jante hain-

  1. Hamesha product ko prmote karne se pahle khud use kare.
  2. Affiliate program ki terms and condition achi tarah padhe.
  3. Usi product ko promote kare jis par thik margin ho. Jisse apko apni mehnat ka acha results mile.
  4. Galat tariko se affiliate promotion na kare. Esse apka account ban ho sakta hain aur us mai pada paisa bhi apko nai milta.
  5. Affiliate dashboard mai payment receive karne ki sahi janakri bhare. Jyadatar companiya paypal se payment receive karne ka option deti hain. Apna paypal account jarur bana le.
  6. Har week ya 15 days mai ek bar apne affiliate dashboard ko jarur check kar le. Kayi companies sale hone par apko mail send nahi karti hai esliye aisa karna jaruri hota hain.
  7. Company ka brand name bina company ki presmission ke use na kare.

Final Words:

Mai aasha karta hun ki apko ye post pasand aayi hogi. Asal mai ye ek basic guide hain .Waise affiliate marketing bahut detailed topic hain jise ap experience se hi samajh sakte hain.

Es mai starting success ke liye ap es post mai di gayi knowledge ko implement kar sakte hain aur affiliate marketing se paise kama sakte hain.

Apke man mai koi doubt hai to hame comment karke bataye. Apki har query ka yha jawab diya jayega.