Maine bhi apne college ke dino mai bahut maje kiye hain. Dosto ke sath ghuma hun, lekin ek chiz hamesha mujhe pareshan karti rahi wo thi paiso ki kami. Mujhe college time par pocket money nahi milta tha. Mere friends ke pas paise hote the. Lekin main hamesha khali hath. Esliye hamesha aisa lagta tha ki koi part time job ya kuch aisa work mil jaye jisse thode paise kama sakein. Ap bhi shayad Google par search karte honge ki Student online paise kaise kamaye ya online paise kamnbe ke best tarike.

Students Paise Kaise Kamaye

Paisa kamana koi galat bat nahi hain. Hame har samay paise ki jarurat hoti hain phir chahe wo college life ho ya school life.  Thode bade hone par paiso ki need hoti hain aur nahi milne pas frustation ho jata hain. Pahle earning karne ke bahut kam sources hua karte the par phir bhi main kuch n kuch arrangement kar liya karta tha. Par apne kamaye hue sare paise main apne parents ko de deta tha jisse mere pas kuch nahi bachta tha.

Ye to thi meri kahani. Paise kamane ke jo genuine methods maine kam mai liye the wo main apke sath share karna chahta hun. Unke sath main kuch aise methods bhi share karunga jisse ki ap online bhi paise kama sakte ho.

In methods ke bare main jante hain…

Students  Paise Kaise Kamaye

Yadi ap ek student hai aur soch rahe hai ki apke pas koi skills hi nahi hai to ap paisa nahi kama sakte hain to ye sarasar galat hain. Ap paisa kama sakte hain. Skills to sikhi ja sakti hain. Es mai koi badi bat nahi hain.

https://desibabu.in/wp-admin/options-general.php?page=ad-inserter.php#tab-2

Mai apke sath share karne ja rha hun kuch aise genuine methods jinki help se ap thode se effort laga kar paise kama sakte hain…

1. Offline business start kare

Ek thik thak margin wala offline business start kar sakte hain. Eske liye apne aas pas ke logo ki need ke bare main pata lagana hoga. Aise kya chiz hain jiski unhe jarurat padti hai aur wo unhe time par available nahi ho pati.

For example: Ap computer mai windows install karne, antivirus sell karne ya fir aisa hi koi kam shuru kar sakte hain jis mai jyada paisa na lagana pade. Aise business choose kare jis mai munafa thik ho. Maine apni college and school life main aise business kiye hain.

2. Tution padhayein

Ye field un logo ke liye jinhe durso ko sikhana acha lagta hain. Agar apki kisi ek ya jyada subjects par achi pakad ho. Aise subjects ap dusro ko ache tarike se samjha sakte hain. Tution ka ek bahut hi acha market hain. Keval kitabi gyan hi tution ke under main nahi aata. Agar apke pas koi skills hai jaise ki dance, singing, sports related ya aise koi bhi chiz jis mai ap expert ho dusre logo ko sikhayi ja skti hain. Eske against ap kuch paise bhi charge kar sakte hain.

Agar ap apni hobby ya apne passion se judi koi chiz logo ko sikhte hain to es mai maza to aata hi hain. Sath main kamayi bhi hoti hai.

3. Blogging Shuru Kare:

India main blogging ka khumaar dhire dhire chad raha hain. Log Bloggers ko janane lage hain. Aur blogging ko as a professional career ke rup mai lene lage hain. Blogging mai ap apne knowledge logo ke sath share karte hai. Es mai apko ek blog start karna hota hain jha ap articles likhte hain aur unhe promote karte hain. Jab blog par traffic aane lag jata hain tab us par ads laga kar paise kama sakte hain.

Blogging ke bare mai jyada janakri ke liye hamare Newsletter ko subscribe kare jisse ki apko blogging related new post direct email par milti rahengi.

4. Freelancing kare:

Apni skills ke according kisi ko online service provide karwana freelancing ke under mai aata hain. Eske liye apko koi kharcha karne ki jarurat nahi hain. Ap mai koi aise skills honi chiaye jise ap online sell kar sake. Popular freelaning skills jaise ki logo design, website design, website development, content writing, video editing aadi ko ap as a service logo ko offer kar sakte hain.

Eske alawa aur bhi chize h jinhe ap online sell kar sakte hain. Freelancing ke liye clients apko Fiverr par mil jayenge. Wha ja kar apna account banayein aur apni gig create karke logo ko service sell karna shuru kar de.

5. Video Creation:

Kya apko pata hai ki youtube par video dekhne ke sath sath ap esse paise bhi kama sakte hain. Bs apko eske liye video create karke youtube par dalne honge aur phir apko unka promotion karna hoga.

Sabse pahle youtube par apna ek channel banayein aur phir us par ache videos dale. Jo chiz apko aati hai usse related videos bana kar ap yaha par dal sakte hai wo bhi free of cost.

Kuch time ke bad ap apne channel ko Adsense se connect karna hoga. Apka channel approve hote hi ads show hone start ho jayenge.

Videos content ki badhati popularity ko dekh kar lagta hai ki es field mai acha paisa banaya ja sakta hain.

Aur sabse bada fayada ye hai ki esse apko skills bhi improve hoti hain kyunki video ke madhyam se koi bhi chiz sikhne ke liye sabse pahle us chiz ko ache se sikhna padta hain tabhi hum viewers ko thik se sikha pate hain.

Final Words:

Ye the aise 5 methods jinki madad se student paise kama sakte hain. Mai inke alwa aur bhi methods include kar sakte tha lekin wo methods hard hai aur chances rahte hai ki apko kuch prayaso mai safalta na mile. Esse ap nirash ho sakte hain.

Esliye ap wo method follow kare jo main abhi apko batayein hain. Maine apni student life mai inse paisa kamaya hai esliye apke sath share kiya.

Ek aur fayada ye bhi hai ki inke liye apko jyada time nahi dena.  Ap padte hue bhi ye chize kar sakte hain aur ense apko skills bhi improve hongi.