धोबी का गधा Panchatantra Stories in Hindi, Panchatantra ki Kahaniya

Ek gaon main ek dhobi rahta tha. Wo daily ghar-ghar jata aur logo ke gande kapde lata. Dhobi ke pas ek gadha tha jiska upyog wo kapde lane aur le jane mein kerta tha. kuch samay ke bad gadha budha aur kamjor ho gaya.

Ek din kadi dopaher mein kisan kapde lad ker le ja rha tha. Us din bahut garmi thi. Gadhe aur dhobi dono ka garmi se bura hal tha. Achanak gadhe ka per ladkadhaya aur wo gaddhey mai ja gira. Gadhe ne bahar aane ke liye bahut jor lagaya lekin kamjor hone ke karan sab bekar tha. Dhobi ne bhi bahut prayas kiya gadhe ko gadhdhey se bahar nikalne ka per gadhdha gahra hone ki wajah se wo use nikal nhi pa rha tha.

ye sab dekh ker gadha buri tarike se chilane lag gaya. dhobi bhi jab use nikalne mai asamarth rha to usne socha ki gadha ab budha ho chuka hain. Wo ab uske koi kam ka bhi nhi rha. Kyu ka use gadhdhey main hi dafna diya jaye. aisa sochte hue usne gaon walo ko aawaz lagayi. Sabhi log fawda leker aa gaye aur gaddey mein mitti dalne lage.

Gadha pahle to ye sab chupchap dekhta rha lekin bad mai use samajh mein aya ki log usey zinda ki dafan ker rahe hain. Gadha thoda sa emotional ho gaya aur logo ki taraf dekhne laga. Log tezi se us per mitti daley ja rahe the.

Thodi der bad jab dhobi ne gaddhey main dekha to wo ascharya main pad gaya. Gadha kuch ajeeb tarike se harkate kar rha tha. Koi jaise hi gadhey ki pit per mitti dalta, wo use pith hila kar niche dal deta aur khud ek kadam uper aa jata. Esi tarike se sab chalta rha. Koi jaise hi mitti dalta gadha use gira kr uper aa jata.

Dhire dhire gadda bhar gaya aur gadha us mai se uchal kar bahar aa gaya. Sabhi log ye sab dekh ker bade ascharyachakit thy.

Mere dost, es kahani se hum ek bahut achi bat sikh sakte hain. Zindagi aise hi hum per bahut se zulm kerti hain. Wo musibato se hame dabane ki koshish kerti hain. Lekin hame bhi unka saman sujh bujh se kerna chaiye. Hum har tarah ki musibat se bahar aa sakte hain bs shart ye hai ki ap unse dare nahi.

koi ap per kitni hi mitti kyu na dale apko use side mein girate hue bahar aana hain. Kuch log bhi apko dabane ki koshish ker sakte hain. Lekin ap sahas se unka samna kare aur zindagi ki jung ko har bar jitey.

इन्हें भी पढ़ें –